Aise Jalta Hai - 1920 Hindi Movie Lyrics

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Aaja re aaja re aaja re aahh…
Aise jalta hai jiya jaise diya
Jeena saku ab main tanha hoon piya
Aise jalta hai jiya jaise diya
Aise jalta hai jiya jaise diya
Jeena saku ab main tanha hoon piya
Aise jalta hain jiya

Bechain mere man ka mayura
Lagta hain tanha jeevan adhura
Tan mein lagi hain virha ki jwala
Ab to pila de adharo ka pyala
Trishna pukare mere sun beriaah
Aise jalta hain jiya jaise diya
Jeena saku ab main tanha hoon piya
Aise jalta hain jiya

Tu hain akela main hoon akeli
Suni padi hai sari haveli
Betabion ka pal be sabar hain
Ab hone wali jaldi saher hain
Duri mita de milke aa saathiya
Aise jalta hain jiya jaise diya
Jeena saku ab main tanha hoon piya
Aise jalta hai jiya

If you enjoyed this post, make sure you subscribe to my RSS feed!

No Comments

(Required)
(Required, will not be published)